Jis simt bhii dekhoon nazar aataa hai ke tum ho
ai jaan-e-jahaan ye ko_ii tum sa hai ke tum ho
ye khvaab hai khushboo hai ke jhonkaa hai ke pal hai
ye dhundh hai baadal hai ke sayaa hai ke tum ho
is diid kii sa_aat mein ka_ii rang hain larazaan
main hoon ke ko_ii aur hai duniyaa hai ke tum ho
dekho ye kisii aur kii aankhein hain ke merii
dekhoon ye kisii aur kaa chehraa hai ke tum ho
ye umr-e-gurezaan kahiin thahare to ye jaanoon
har saans mein mujh ko ye lagtaa hai ke tum ho
har bazm me.n mauzuu-e-sukhan dil zad_gaan kaa
ab kaun hai shiiriin hai ke lailaa hai ke tum ho
ik dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke main huun
ik mauj mein ayaa huaa dariya hai ke tum ho
vo vaqt na aaye ke dil-e-zaar bhii soche
is shahar mein tanhaa ko_ii ham sa hai ke tum ho
aabaad ham aashuftaa saron se nahiin maqtal
ye rasm abhii shahar mein zindaa hai ke tum ho
ai jaan-e-'Faraz' itnii bhii taufiiq kise thii
ham ko gham-e-hastii bhii gavaaraa hai ke tum ho
And then, as though on cue, my other favourite, Gulzar mentions you in his poem today!
Aankhon ko visa nahin lagta
sapnon ki sarhad nahin hoti
band aakhon se roz main sarhad paar chalaa jataa hoon
milne "Mehdi Hasaan" se!
sunta hoon unki awaaz ko chote lagi hai
aur ghazal khamosh hai saamne baithi huyi
kaanp rahe hain honth ghazal ke
phir bhi un aankhon ka lehzaa badlaa nahin ---
jab kehte hain
sookh gaye hai phool kitaabon mein
yaar ''Faraaz'' bhi bichhad gaye, shaayad milein woh khwaabon mein!
band aakhon se aksar sarhad paar chalaa jataa hoon main!
aankhon ko visa nahin lagta,
sapnon ki sarhad, koi nahin!
This is a snivelling attitude, but it is impossible not to feel a strange delight, a strange gratitude when reading your poesy..... A perpetual sort of te deum in being given, in you, a source of so much pure and unmixed happiness!
3 comments:
That is beautiful.faraz is great at inter personal relations.
Uss ne to baat baat me Aisey Bhale sukhan kahe,
maine to uss ke Paanv me saara kalaam rakh diyaa.
uss ne jo aankh Phair Li Maine bhi jam Rakh diyaa.
( faraz )
Brilliant, brilliant poetry and photography - ah, I envy you! Keep the posts going so that we can live (in simla!) vicariously through your photos!
Autar-ji, kya baat hai! What a wonderful she'r. So happy to see you here.
Priya, thank you. You made my day.
Post a Comment